waqt se jab hum muKHatib ho gae
vaqt se jab ham muḳhātib ho ga.e
nā-munāsib bhī munāsib ho ga.e
fahm se Takrā.īñ nā-mānūsiyāñ
zehn meñ zaḳhm-e-matālib ho ga.e
biivī bachchoñ meñ ghire rahte the jo
āḳhirash vo log rāhib ho ga.e
ye na-dīda-pan nahīñ to kyā hai phir
tālib-e-husn-e-kavākib ho ga.e
achchhe logoñ ne banā.e kuchh usuul
rafta-rafta vo mazāhib ho ga.e
husn-e-daulat zindagī jannat sukūñ
aap kin chīzoñ ke tālib ho ga.e
waqt se jab hum muKHatib ho gae
na-munasib bhi munasib ho gae
fahm se Takrain na-manusiyan
zehn mein zaKHm-e-matalib ho gae
biwi bachchon mein ghire rahte the jo
aaKHirash wo log rahib ho gae
ye na-dida-pan nahin to kya hai phir
talib-e-husn-e-kawakib ho gae
achchhe logon ne banae kuchh usul
rafta-rafta wo mazahib ho gae
husn-e-daulat zindagi jannat sukun
aap kin chizon ke talib ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.