waqt se pahle daraKHton pe samar aane lage
vaqt se pahle daraḳhtoñ pe samar aane lage
raat aa.ī bhī nahīñ ḳhvāb-e-sahar aane lage
maiñ ne pahlā hī qadam rakkhā hai dariyā meñ abhī
ḳhair-maqdam ke liye kitne bhañvar aane lage
kyā ḳhatā ho ga.ī sarzad maiñ isī soch meñ huuñ
sañg ke badle mirī samt guhar aane lage
is liye zill-e-ilāhī se ḳhafā haiñ rāteñ
un ke aivān meñ kyuuñ ḳhāk-basar aane lage
aap kuchh aur haiñ āshiq ise kahte haiñ miyāñ
jis ko har chiiz meñ mahbūb nazar aane lage
ḳhair māñgeñ kisī dushman ke liye ab 'ālam'
ain mumkin hai duāoñ meñ asar aane lage
waqt se pahle daraKHton pe samar aane lage
raat aai bhi nahin KHwab-e-sahar aane lage
main ne pahla hi qadam rakkha hai dariya mein abhi
KHair-maqdam ke liye kitne bhanwar aane lage
kya KHata ho gai sarzad main isi soch mein hun
sang ke badle meri samt guhar aane lage
is liye zill-e-ilahi se KHafa hain raaten
un ke aiwan mein kyun KHak-basar aane lage
aap kuchh aur hain aashiq ise kahte hain miyan
jis ko har chiz mein mahbub nazar aane lage
KHair mangen kisi dushman ke liye ab 'alam'
ain mumkin hai duaon mein asar aane lage
- Book : Khayalabad (Pg. 77)
- Author : Alam khursheed
- Publication : Alam khursheed (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.