waqt se pahle hi tabdil shabahat kar di
vaqt se pahle hī tabdīl shabāhat kar dī
mun.akis ḳhvāb ke shīshe meñ haqīqat kar dī
saarī zaḳhmī mire lahje kī rivāyat kar dī
ashk ne aañkh meñ aate hue muddat kar dī
zaḳhm jitne bhī the siine meñ vo bāhar laa.e
aur har ik ko samajhne meñ suhūlat kar dī
mar ga.e marne se pahle hī tirī chāhat meñ
muntaqil saañs ke chalte hī virāsat kar dī
aañkh ne hī mujhe dikhlā.e haiñ saare manzar
aañkh ne hī mirī mahdūd basārat kar dī
koī bhī bojh mire siine ke andar na rahā
ġham ne is baar mirī taaza tabī.at kar dī
waqt se pahle hi tabdil shabahat kar di
munakis KHwab ke shishe mein haqiqat kar di
sari zaKHmi mere lahje ki riwayat kar di
ashk ne aankh mein aate hue muddat kar di
zaKHm jitne bhi the sine mein wo bahar lae
aur har ek ko samajhne mein suhulat kar di
mar gae marne se pahle hi teri chahat mein
muntaqil sans ke chalte hi wirasat kar di
aankh ne hi mujhe dikhlae hain sare manzar
aankh ne hi meri mahdud basarat kar di
koi bhi bojh mere sine ke andar na raha
gham ne is bar meri taza tabiat kar di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.