waqt sochon ki masafat ka sila bhi dega
vaqt sochoñ kī masāfat kā sila bhī degā
dasht-e-imkāñ kisī manzil kā patā bhī degā
jis ne tārīk guphāoñ kā safar baḳhshā hai
vahī afkār o taḳhayyul ko ziyā bhī degā
maiñ bhalā kaun ki andesha-e-fardā meñ ghulūñ
khetiyāñ jis ne ugaa.ī haiñ ghaTā bhī degā
is tavaqqo pe qadam ho ga.e patthar shāyad
ik darīcha mujhe dhīre se sadā bhī degā
haa.e vo shaḳhs ki jī bhar ke satā.egā mujhe
aur phir chain se sone kī duā bhī degā
mujh ko jhuTlā.egā tardīd karegā merī
dost hai jurm-e-rifāqat kī sazā bhī degā
waqt sochon ki masafat ka sila bhi dega
dasht-e-imkan kisi manzil ka pata bhi dega
jis ne tarik guphaon ka safar baKHsha hai
wahi afkar o taKHayyul ko ziya bhi dega
main bhala kaun ki andesha-e-farda mein ghulun
khetiyan jis ne ugai hain ghaTa bhi dega
is tawaqqo pe qadam ho gae patthar shayad
ek daricha mujhe dhire se sada bhi dega
hae wo shaKHs ki ji bhar ke sataega mujhe
aur phir chain se sone ki dua bhi dega
mujh ko jhuTlaega tardid karega meri
dost hai jurm-e-rifaqat ki saza bhi dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.