waqt uDne ka hai girwi baal-o-par kyunkar rakhen
vaqt uḌne kā hai girvī bāl-o-par kyūñkar rakheñ
ham haiñ fitrat se musāfir koī ghar kyūñkar rakheñ
jab zarūrat thī kisī shāne kī ham ko na milā
ab milā to sochte haiñ us pe sar kyūñkar rakheñ
vaqt ḳhud ik rāhzan hai zindagī kī raah meñ
paas apne ishq sā la.al-o-gohar kyūñkar rakheñ
jab talak hai saañs ham ko zaḳhm khāne aur haiñ
ek ġham kī yaad meñ phir chashm-e-tar kyūñkar rakheñ
tujh ko pā leñ yā ki kho deñ hai ziyāñ donoñ tarah
phir bhalā ai jān-e-jāñ terī ḳhabar kyūñkar rakheñ
waqt uDne ka hai girwi baal-o-par kyunkar rakhen
hum hain fitrat se musafir koi ghar kyunkar rakhen
jab zarurat thi kisi shane ki hum ko na mila
ab mila to sochte hain us pe sar kyunkar rakhen
waqt KHud ek rahzan hai zindagi ki rah mein
pas apne ishq sa lal-o-gohar kyunkar rakhen
jab talak hai sans hum ko zaKHm khane aur hain
ek gham ki yaad mein phir chashm-e-tar kyunkar rakhen
tujh ko pa len ya ki kho den hai ziyan donon tarah
phir bhala ai jaan-e-jaan teri KHabar kyunkar rakhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.