waqt ye faisla karta nahin tadbir ke sath
waqt ye faisla karta nahin tadbir ke sath
Qazi Mustaqiimuddiin Sahar
MORE BYQazi Mustaqiimuddiin Sahar
vaqt ye faisla kartā nahīñ tadbīr ke saath
kaun uljhā hai tirī zulf-e-girah-gīr ke saath
aur hoñge jinheñ raas aa.ī hai duniyā kī bahār
ham to uljhe hī rahe gardish-e-taqdīr ke saath
rāh-rau koī ho manzil pe pahuñch jaatā hai
kabhī qismat ke sahāre kabhī tadbīr ke saath
kisī farzāne ko taufīq-e-madad bhī na huī
koī dīvāna sisaktā rahā zanjīr ke saath
qā.eda ho to har ik shaḳhs nikal paḌtā hai
kabhī taḳhrīb ke saath aur kabhī ta.amīr ke saath
jur.at-e-ishq sazā de ki jazā ham ne to
apnī tasvīr lagā dī tirī tasvīr ke saath
dāman-e-fahm-o-farāsat ho agar hāthoñ meñ
kaam bigḌe bhī sañvar jaate haiñ tadbīr ke saath
ye sahar hai ki nahīñ kaun hameñ batlā.e
zulmat-e-shab bhī nazar aa.ī hai tanvīr ke saath
waqt ye faisla karta nahin tadbir ke sath
kaun uljha hai teri zulf-e-girah-gir ke sath
aur honge jinhen ras aai hai duniya ki bahaar
hum to uljhe hi rahe gardish-e-taqdir ke sath
rah-rau koi ho manzil pe pahunch jata hai
kabhi qismat ke sahaare kabhi tadbir ke sath
kisi farzane ko taufiq-e-madad bhi na hui
koi diwana sisakta raha zanjir ke sath
qaeda ho to har ek shaKHs nikal paDta hai
kabhi taKHrib ke sath aur kabhi tamir ke sath
jurat-e-ishq saza de ki jaza hum ne to
apni taswir laga di teri taswir ke sath
daman-e-fahm-o-farasat ho agar hathon mein
kaam bigDe bhi sanwar jate hain tadbir ke sath
ye sahar hai ki nahin kaun hamein batlae
zulmat-e-shab bhi nazar aai hai tanwir ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.