wara-e-ishq apna rup barsane kahan jate
varā-e-ishq apnā ruup barsāne kahāñ jaate
tumhārī ḳhushnumā āñkhoñ ke paimāne kahāñ jaate
harīm-e-nāz meñ jalvoñ pe pābandī bahut kuchh thī
magar ham bhī dil-e-nādāñ ko bahlāne kahāñ jaate
tamanna ne tire jalvoñ kī dīvāna banāyā thā
agar parda na uTh jaatā to dīvāne kahāñ jaate
mirā zauq-e-nazar āḳhir kisī ke kaam hī aaya
gulābī ārizoñ ke narm paimāne kahāñ jaate
nazar ke sāmne aa kar sajā dī zindagī tum ne
mohabbat meñ ye ahl-e-dil ḳhudā jaane kahāñ jaate
bahut āsāniyāñ kar diiñ nigāhoñ ke tasādum ne
unheñ ham apne dil kī baat samjhāne kahāñ jaate
abhī tak chāñdnī rātoñ meñ dil par raqs karte haiñ
tumhārī yaad ke rangīn afsāne kahāñ jaate
usī jānib se kuchh dil ko sahārā mil gayā varna
ye ahl-e-ġham shikast-e-dil ko dohrāne kahāñ jaate
nazar kī laġhzishoñ se baat dil kī khul ga.ī 'saifī'
ham us mahfil meñ itnī jald pahchāne kahāñ jaate
wara-e-ishq apna rup barsane kahan jate
tumhaari KHushnuma aankhon ke paimane kahan jate
harim-e-naz mein jalwon pe pabandi bahut kuchh thi
magar hum bhi dil-e-nadan ko bahlane kahan jate
tamanna ne tere jalwon ki diwana banaya tha
agar parda na uTh jata to diwane kahan jate
mera zauq-e-nazar aaKHir kisi ke kaam hi aaya
gulabi aarizon ke narm paimane kahan jate
nazar ke samne aa kar saja di zindagi tum ne
mohabbat mein ye ahl-e-dil KHuda jaane kahan jate
bahut aasaniyan kar din nigahon ke tasadum ne
unhen hum apne dil ki baat samjhane kahan jate
abhi tak chandni raaton mein dil par raqs karte hain
tumhaari yaad ke rangin afsane kahan jate
usi jaanib se kuchh dil ko sahaara mil gaya warna
ye ahl-e-gham shikast-e-dil ko dohrane kahan jate
nazar ki laghzishon se baat dil ki khul gai 'saifi'
hum us mahfil mein itni jald pahchane kahan jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.