waraq par hadse kuchh the ubhaare
varaq par hādse kuchh the ubhāre
sahāre ho ga.e dushman hamāre
mohabbat is qadar ho vālihāna
ki manzil chīḳh kar tujh ko pukāre
mirā to mas.ala ab shā'irī hai
sar-e-qirtās qisse haiñ tumhāre
mirī mayyat yahāñ par mat jalāo
ki harf aa.egā yāroñ par hamāre
apāhij soch aaḌe aa ga.ī thī
vagarna toḌ laatā maiñ bhī taare
maiñ apnī 'umr se kitnā baḌā huuñ
ḳhayāl aaya mujhe pā kar ḳhasāre
samundar ko faqat āvāz dī thī
ki chalne lag paḌe ḳhud hī kināre
hidāyat-kār ko tum mashvara do
mire ḳhuuñ se kahānī ko nikhāre
tujhe niyyat kā āḳhir phal milegā
añdherā raushnī se kyoñ na haare
tumhārī fikr girvī ho chukī hai
agar samjho na 'mājid' ke ishāre
waraq par hadse kuchh the ubhaare
sahaare ho gae dushman hamare
mohabbat is qadar ho walihana
ki manzil chiKH kar tujh ko pukare
mera to masala ab sha'iri hai
sar-e-qirtas qisse hain tumhaare
meri mayyat yahan par mat jalao
ki harf aaega yaron par hamare
apahij soch aaDe aa gai thi
wagarna toD lata main bhi tare
main apni 'umr se kitna baDa hun
KHayal aaya mujhe pa kar KHasare
samundar ko faqat aawaz di thi
ki chalne lag paDe KHud hi kinare
hidayat-kar ko tum mashwara do
mere KHun se kahani ko nikhaare
tujhe niyyat ka aaKHir phal milega
andhera raushni se kyon na haare
tumhaari fikr girwi ho chuki hai
agar samjho na 'majid' ke ishaare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.