waraq waraq pe fasana hawa uDa legi
varaq varaq pe fasānā havā uḌā legī
ziyāñ karegī ḳhud apnā hamārā kyā legī
lahū ke nashshe meñ malbūs bhī utāregī
balā-e-jāñ hai har ik harba aazmā legī
havā-e-tāza hai chhū legī soḳhta-jāñ ko
maiñ aur de bhī sakūñ kyā mirī duā legī
bhugat chukā ho jo banjar kā ġham vahī jaane
samundaroñ ko ḳhalā-dar-ḳhalā uchhālegī
hai ab bhī vaqt pahāḌoñ kā aasrā DhūñDo
ye thamne vaalī nahīñ bastiyāñ bahā legī
baḌī farāḳh-dilī se diyā thā bosa-e-lab
kise ḳhabar thī mirī quvvat-e-navā legī
waraq waraq pe fasana hawa uDa legi
ziyan karegi KHud apna hamara kya legi
lahu ke nashshe mein malbus bhi utaregi
bala-e-jaan hai har ek harba aazma legi
hawa-e-taza hai chhu legi soKHta-jaan ko
main aur de bhi sakun kya meri dua legi
bhugat chuka ho jo banjar ka gham wahi jaane
samundaron ko KHala-dar-KHala uchhaalegi
hai ab bhi waqt pahaDon ka aasra DhunDo
ye thamne wali nahin bastiyan baha legi
baDi faraKH-dili se diya tha bosa-e-lab
kise KHabar thi meri quwwat-e-nawa legi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.