wasile kaamrani ke husul-e-zar mein rakkhe hain
vasīle kāmrānī ke husūl-e-zar meñ rakkhe haiñ
ki sīdhe rāste bhī to kisī chakkar meñ rakkhe haiñ
mire dushman ko mujh par vaar karne kī zarūrat kyā
use ma.alūm hai kyā log is lashkar meñ rakkhe haiñ
mujhe rakkhā to rakkhā shak bharī nazroñ ke pahre meñ
jo dushman the mire yāroñ ne apne ghar meñ rakkhe haiñ
jo āñkhoñ ko nahīñ hasb-e-zarūrat dekhne dete
kuchh aise aa.ine bhī dhuup ke manzar meñ rakkhe haiñ
ka.ī asrār haiñ khulte nahīñ jo zehn-e-ādam par
ka.ī nukte haiñ jo tafhīm-e-ḳhair-o-shar meñ rakkhe haiñ
yahāñ bas ek īmāñ kī hī gunjā.ish nahīñ niklī
hazāroñ vasvase yuuñ to dil-e-kāfir meñ rakkhe haiñ
ab itnā zor se bhī chīḳhnā achchhā nahīñ lagtā
qayāmat hī sahī go arsa-e-mehshar meñ rakkhe haiñ
gavāhī kaun dene aa.egā aisī adālat meñ
kaTahre bhī jahāñ qātil ne apne ghar meñ rakkhe haiñ
aur ab sajde se uThne kī sakat bhī kis meñ baaqī hai
hamāre rizq ai ma.abūd kis patthar meñ rakkhe haiñ
hameñ 'shahzād' apne aap se hī pūchhnā hogā
jahāñ meñ ik hamī kyoñ paañv kī Thokar meñ rakkhe haiñ
wasile kaamrani ke husul-e-zar mein rakkhe hain
ki sidhe raste bhi to kisi chakkar mein rakkhe hain
mere dushman ko mujh par war karne ki zarurat kya
use malum hai kya log is lashkar mein rakkhe hain
mujhe rakkha to rakkha shak bhari nazron ke pahre mein
jo dushman the mere yaron ne apne ghar mein rakkhe hain
jo aankhon ko nahin hasb-e-zarurat dekhne dete
kuchh aise aaine bhi dhup ke manzar mein rakkhe hain
kai asrar hain khulte nahin jo zehn-e-adam par
kai nukte hain jo tafhim-e-KHair-o-shar mein rakkhe hain
yahan bas ek iman ki hi gunjaish nahin nikli
hazaron waswase yun to dil-e-kafir mein rakkhe hain
ab itna zor se bhi chiKHna achchha nahin lagta
qayamat hi sahi go arsa-e-mehshar mein rakkhe hain
gawahi kaun dene aaega aisi adalat mein
kaTahre bhi jahan qatil ne apne ghar mein rakkhe hain
aur ab sajde se uThne ki sakat bhi kis mein baqi hai
hamare rizq ai mabud kis patthar mein rakkhe hain
hamein 'shahzad' apne aap se hi puchhna hoga
jahan mein ek hami kyon panw ki Thokar mein rakkhe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.