wasl bharpur raha hijr bhi bharpur bana
vasl bharpūr rahā hijr bhī bharpūr banā
zaḳhm nāḳhun se khurachte hue nāsūr banā
us ne ik 'umr mire saath aziyyat jhelī
ab ke saa.e ko mire jism se kuchh duur banā
aañkh be-nūr sahī kaan to sun sakte haiñ
aisā kuchh bol mirī aañkh ko pur-nūr banā
mere lahje ko churā kar huā naamī koī
mere ash'ār churā kar koī mash.hūr banā
merī sachchā.ī bayāñ kar mire ash'ār ke saath
merī tasvīr banā aur ba-dastūr banā
maiñ to shā'ir thā magar peT kī ḳhātir 'ārif'
bār-e-ġham sah na sakā banda-e-mazdūr banā
wasl bharpur raha hijr bhi bharpur bana
zaKHm naKHun se khurachte hue nasur bana
us ne ek 'umr mere sath aziyyat jheli
ab ke sae ko mere jism se kuchh dur bana
aankh be-nur sahi kan to sun sakte hain
aisa kuchh bol meri aankh ko pur-nur bana
mere lahje ko chura kar hua nami koi
mere ash'ar chura kar koi mashhur bana
meri sachchai bayan kar mere ash'ar ke sath
meri taswir bana aur ba-dastur bana
main to sha'ir tha magar peT ki KHatir 'arif'
bar-e-gham sah na saka banda-e-mazdur bana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.