wasl ka aish kahan par gham-e-hijran to hai
vasl kā aish kahāñ par ġham-e-hijrāñ to hai
lab-e-ḳhandāñ to nahīñ dīda-e-giryāñ to hai
aarzū aur to kuchh ham ko nahīñ duniyā meñ
haañ magar ek tire milne kā armāñ to hai
haal kyā pūchhe hai hairat-kada-e-dahr kā dekh
aa.ina yaañ kā har ik dīda-e-hairāñ to hai
daam se ḳhat ke chhuTā dil to nahīñ ḳhātir jam.a
qaid karne ko abhī zulf-e-pareshāñ to hai
le chalā dil ko jo vo shoḳh tū hamdam na bulā
aaphī āvegā vo ham paas abhī jaañ to hai
go na ho aish kā asbāb mayassar to na ho
vāste dil ke ġham-o-dard kā sāmāñ to hai
ek hī dam meñ kiyā sar ko judā ḳhuub kiyā
teġh kā terī ye sar par mire ehsāñ to hai
go hue jaib ke TukḌe to nahīñ ġham ham ko
chaak karne ko hamārā abhī dāmāñ to hai
jo paḌe ishq kī aafat meñ vahī jaane 'hasan'
ḳhalq ke kahne meñ yuuñ āshiqī āsāñ to hai
wasl ka aish kahan par gham-e-hijran to hai
lab-e-KHandan to nahin dida-e-giryan to hai
aarzu aur to kuchh hum ko nahin duniya mein
han magar ek tere milne ka arman to hai
haal kya puchhe hai hairat-kada-e-dahr ka dekh
aaina yan ka har ek dida-e-hairan to hai
dam se KHat ke chhuTa dil to nahin KHatir jama
qaid karne ko abhi zulf-e-pareshan to hai
le chala dil ko jo wo shoKH tu hamdam na bula
aaphi aawega wo hum pas abhi jaan to hai
go na ho aish ka asbab mayassar to na ho
waste dil ke gham-o-dard ka saman to hai
ek hi dam mein kiya sar ko juda KHub kiya
tegh ka teri ye sar par mere ehsan to hai
go hue jaib ke TukDe to nahin gham hum ko
chaak karne ko hamara abhi daman to hai
jo paDe ishq ki aafat mein wahi jaane 'hasan'
KHalq ke kahne mein yun aashiqi aasan to hai
- Deewan-e-Meer Hasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.