wasl ki aziyyat se KHwab ko bachaya kar
vasl kī aziyyat se ḳhvāb ko bachāyā kar
hijr milne aa.e to pyaar se biThāyā kar
us ne ḳhat meñ likkhā hai roz shaam hote hī
gaañv ke daraḳhtoñ par ghoñsle banāyā kar
shām-e-ġham ke ḳhemoñ se jab charāġh bujhte hoñ
'ishq ke musāfir ko rāsta dikhāyā kar
phir kisī kahānī meñ dasht ke muñDeroñ par
din Dhale parindoñ ko loriyāñ sunāyā kar
dāstāñ-sarā.e meñ aag bujhne vaalī hai
aag ke alaao ko dāstāñ banāyā kar
wasl ki aziyyat se KHwab ko bachaya kar
hijr milne aae to pyar se biThaya kar
us ne KHat mein likkha hai roz sham hote hi
ganw ke daraKHton par ghonsle banaya kar
sham-e-gham ke KHemon se jab charagh bujhte hon
'ishq ke musafir ko rasta dikhaya kar
phir kisi kahani mein dasht ke munDeron par
din Dhale parindon ko loriyan sunaya kar
dastan-sarae mein aag bujhne wali hai
aag ke alao ko dastan banaya kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.