wasl ki shab guzar na jae kahin
vasl kī shab guzar na jaa.e kahīñ
terā bīmār mar na jaa.e kahīñ
yaad meñ un kī mere ashkoñ kā
aaj paimāna bhar na jaa.e kahīñ
shab-e-furqat hai aur tanhā.ī
dil kī dhaḌkan Thahar na jaa.e kahīñ
vaqt maiñ ne badalte dekhā hai
Dar hai tū bhī mukar na jaa.e kahīñ
ho sake gar to qaid kar lo ise
vaqt yuuñ hī guzar na jaa.e kahīñ
ālam-e-shauq meñ kahīñ 'zīshān'
tū bhī had se guzar na jaa.e kahīñ
wasl ki shab guzar na jae kahin
tera bimar mar na jae kahin
yaad mein un ki mere ashkon ka
aaj paimana bhar na jae kahin
shab-e-furqat hai aur tanhai
dil ki dhaDkan Thahar na jae kahin
waqt main ne badalte dekha hai
Dar hai tu bhi mukar na jae kahin
ho sake gar to qaid kar lo ise
waqt yun hi guzar na jae kahin
aalam-e-shauq mein kahin 'zishan'
tu bhi had se guzar na jae kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.