Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wasl ki to kabhi furqat ki ghazal likhte hain

Ashok Mizaj Badr

wasl ki to kabhi furqat ki ghazal likhte hain

Ashok Mizaj Badr

MORE BYAshok Mizaj Badr

    vasl to kabhī furqat ġhazal likhte haiñ

    ham to shā.ir haiñ mohabbat ġhazal likhte haiñ

    paḌhiye un ko kisī kāġhaz pe nahīñ sarhad par

    apne ḳhuuñ se jo shahādat ġhazal likhte haiñ

    rahnumā apne vatan ke bhī haiñ kitne shātir

    vo shahādat pe siyāsat ġhazal likhte haiñ

    tum ne mazdūr ke chhāle nahīñ dekhe shāyad

    apne hāthoñ pe vo mehnat ġhazal likhte haiñ

    mulk aise bhī haiñ kuchh ḳhaas paḌosī apne

    sarhadoñ pe jo adāvat ġhazal likhte haiñ

    ham sabhī chain se sote haiñ magar rātoñ meñ

    fauj vaale to hifāzat ġhazal likhte haiñ

    shauq likhne bahut ham ko bhī hai lekin ham

    sone ke pen se ġhurbat ġhazal likhte haiñ

    wasl ki to kabhi furqat ki ghazal likhte hain

    hum to shair hain mohabbat ki ghazal likhte hain

    paDhiye un ko kisi kaghaz pe nahin sarhad par

    apne KHun se jo shahadat ki ghazal likhte hain

    rahnuma apne watan ke bhi hain kitne shatir

    wo shahadat pe siyasat ki ghazal likhte hain

    tum ne mazdur ke chhaale nahin dekhe shayad

    apne hathon pe wo mehnat ki ghazal likhte hain

    mulk aise bhi hain kuchh KHas paDosi apne

    sarhadon pe jo adawat ki ghazal likhte hain

    hum sabhi chain se sote hain magar raaton mein

    fauj wale to hifazat ki ghazal likhte hain

    shauq likhne ka bahut hum ko bhi hai lekin hum

    sone ke pen se ghurbat ki ghazal likhte hain

    Source :
    • Book : Main Ashok Hoon Main Mizaj Bhee (Pg. 34)
    • Author : Ashok Mizaj Badr
    • Publication : Shere Acadami, Bhopal (2017)
    • Edition : 2017
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now