vasl manzūr na ho gar to ijārā kyā hai
dūsre dil pe bhalā zor hamārā kyā hai
rahzanoñ ko ye diyā raah meñ dhokā maiñ ne
māl-o-zar sab ye tumhārā hai hamārā kyā hai
vasl ik raat kā yā ḳhuun bahānā merā
tum ko in donoñ meñ ai jaan gavārā kyā hai
zahr kis tarah na khā.ūñ maiñ shab-e-furqat meñ
jaan dene ke sivā hijr meñ chārā kyā hai
miliye ġhairoñ se bahut ḳhuub na suniye kahnā
zak uThā.eñge huzūr aap hamārā kyā hai
TukḌe barchhī se karo yā hadaf-e-tīr karo
jigar-o-dil ye tumhāre haiñ hamārā kyā hai
jaan dene ko abas manā mujhe karte ho
is meñ nuqsān mirī jaan tumhārā kyā hai
aap par ham hoñ fidā aap hoñ ġhairoñ pe nisār
sach hai duniyā meñ kisī dil pe ijārā kyā hai
kyūñkar us shoḳh ko apnā maiñ karūñ ai 'fāḳhir'
tumhīñ batlāo kisī dil pe ijārā kyā hai
wasl manzur na ho gar to ijara kya hai
dusre dil pe bhala zor hamara kya hai
rahzanon ko ye diya rah mein dhoka main ne
mal-o-zar sab ye tumhaara hai hamara kya hai
wasl ek raat ka ya KHun bahana mera
tum ko in donon mein ai jaan gawara kya hai
zahr kis tarah na khaun main shab-e-furqat mein
jaan dene ke siwa hijr mein chaara kya hai
miliye ghairon se bahut KHub na suniye kahna
zak uThaenge huzur aap hamara kya hai
TukDe barchhi se karo ya hadaf-e-tir karo
jigar-o-dil ye tumhaare hain hamara kya hai
jaan dene ko abas mana mujhe karte ho
is mein nuqsan meri jaan tumhaara kya hai
aap par hum hon fida aap hon ghairon pe nisar
sach hai duniya mein kisi dil pe ijara kya hai
kyunkar us shoKH ko apna main karun ai 'faKHir'
tumhin batlao kisi dil pe ijara kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.