wasl mein dil zafrani ho gaya
vasl meñ dil zāfrānī ho gayā
aise mahkā rāt-rānī ho gayā
ye jo dariyā hai fuġhāñ parbat kī hai
dard siine meñ thā paanī ho gayā
merī chāhat bhī sarāb-e-vasl hai
haañ ufuq maiñ terā saanī ho gayā
kuchh to pās-e-hijr rakhtā yaar vo
us kā tan to kahkashānī ho gayā
'ishq ne mujh se kinārā kar liyā
ai ḳhudā maiñ ġhair-fānī ho gayā
sirf us ne ik nazar dekhā mujhe
phir mirā sab kuchh kahānī ho gayā
ruuh ashkoñ se ghirī hai ziist ke
maiñ jazīre kī nishānī ho gayā
hai azal se bas ajal tak kā safar
sab asāsa be-ma’ānī ho gayā
wasl mein dil zafrani ho gaya
aise mahka raat-rani ho gaya
ye jo dariya hai fughan parbat ki hai
dard sine mein tha pani ho gaya
meri chahat bhi sarab-e-wasl hai
han ufuq main tera sani ho gaya
kuchh to pas-e-hijr rakhta yar wo
us ka tan to kahkashani ho gaya
'ishq ne mujh se kinara kar liya
ai KHuda main ghair-fani ho gaya
sirf us ne ek nazar dekha mujhe
phir mera sab kuchh kahani ho gaya
ruh ashkon se ghiri hai zist ke
main jazire ki nishani ho gaya
hai azal se bas ajal tak ka safar
sab asasa be-ma’ani ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.