wasl mein KHush kabhi dil hijr mein jalte dekha
wasl mein KHush kabhi dil hijr mein jalte dekha
Inayatullah Raushan Badauni
MORE BYInayatullah Raushan Badauni
vasl meñ ḳhush kabhī dil hijr meñ jalte dekhā
rang nairañg-e-jahāñ se ye badalte dekhā
uf re ai dard-e-judā.ī tire sadme shab-e-hijr
dil kī āñkhoñ se lahū ho ke nikalte dekhā
daaġh par daaġh uThā.e jo likhā thā vo huā
sach hai qismat ke navishta ko na Talte dekhā
kuchh to hai lutf-e-mohabbat meñ jo hote haiñ fanā
sham.a parvāna ko har bazm meñ jalte dekhā
dekh kar chaliye zamāne kā nasheb aur farāz
khā ke Thokar jo girā phir na sañbhalte dekhā
kaun hotā hai bure vaqt meñ ai yaar sharīk
ḳhaak par chhoḌ ke tan ruuh ko chalte dekhā
dāġh-e-tāza diye nairang-e-falak ne us ko
bāġh-e-ālam meñ jise phūlte phalte dekhā
vaqt kī qadr na kī lahv-o-la.ab meñ jis ne
umr bhar dast-e-ta.assuf use malte dekhā
ho mire sāmne kyā ḳhaak muqābil ko faroġh
khoTā sikka kahīñ bāzār meñ chalte dekhā
furqat-e-tālib-o-matlūb ġhazab hai 'raushan'
jaan ko jism se ruk ruk ke nikalte dekhā
wasl mein KHush kabhi dil hijr mein jalte dekha
rang nairang-e-jahan se ye badalte dekha
uf re ai dard-e-judai tere sadme shab-e-hijr
dil ki aankhon se lahu ho ke nikalte dekha
dagh par dagh uThae jo likha tha wo hua
sach hai qismat ke nawishta ko na Talte dekha
kuchh to hai lutf-e-mohabbat mein jo hote hain fana
shama parwana ko har bazm mein jalte dekha
dekh kar chaliye zamane ka nasheb aur faraaz
kha ke Thokar jo gira phir na sanbhalte dekha
kaun hota hai bure waqt mein ai yar sharik
KHak par chhoD ke tan ruh ko chalte dekha
dagh-e-taza diye nairang-e-falak ne us ko
bagh-e-alam mein jise phulte phalte dekha
waqt ki qadr na ki lahw-o-lab mein jis ne
umr bhar dast-e-tassuf use malte dekha
ho mere samne kya KHak muqabil ko farogh
khoTa sikka kahin bazar mein chalte dekha
furqat-e-talib-o-matlub ghazab hai 'raushan'
jaan ko jism se ruk ruk ke nikalte dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.