wasl mushkil hi sahi didar hona chahiye
vasl mushkil hī sahī dīdār honā chāhiye
kāñch kā ik rauzan-e-dīvār honā chāhiye
ho chukī had faisla ik baar honā chāhiye
ye tamāshā ab sar-e-bāzār honā chāhiye
zarf honā chāhiye me.aar honā chāhiye
aadmī ko sāhib-e-kirdār honā chāhiye
lutf manzil pe pahuñchne kā yaqīnan aa.egā
shart ye hai rāsta dushvār honā chāhiye
Dūbtī ho nabz lekin hosh kī bāteñ kare
aadmī ko is tarah bīmār honā chāhiye
bech kar īmān duniyā kī ḳharīdārī huī
shahr-bhar meñ aap kā satkār honā chāhiye
hai bahut āsān taqsīm-e-virāsat dosto
bhā.iyoñ meñ jazba-e-īsār honā chāhiye
kuchh ishāra bhī kināya bhī ho kuchh tamsīl bhī
kuchh ġhazal ke sher ko tahdār honā chāhiye
nāqidān-e-fan kā istiqbāl hai 'sājid' magar
nāqidoñ ko ġhair-jānib-dār honā chāhiye
wasl mushkil hi sahi didar hona chahiye
kanch ka ek rauzan-e-diwar hona chahiye
ho chuki had faisla ek bar hona chahiye
ye tamasha ab sar-e-bazar hona chahiye
zarf hona chahiye mear hona chahiye
aadmi ko sahib-e-kirdar hona chahiye
lutf manzil pe pahunchne ka yaqinan aaega
shart ye hai rasta dushwar hona chahiye
Dubti ho nabz lekin hosh ki baaten kare
aadmi ko is tarah bimar hona chahiye
bech kar iman duniya ki KHaridari hui
shahr-bhar mein aap ka satkar hona chahiye
hai bahut aasan taqsim-e-wirasat dosto
bhaiyon mein jazba-e-isar hona chahiye
kuchh ishaara bhi kinaya bhi ho kuchh tamsil bhi
kuchh ghazal ke sher ko tahdar hona chahiye
naqidan-e-fan ka istiqbaal hai 'sajid' magar
naqidon ko ghair-jaanib-dar hona chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.