wasl us sitam-shiar ka dushwar bhi nahin
vasl us sitam-shi.ār kā dushvār bhī nahīñ
iqrār bhī nahīñ hai to inkār bhī nahīñ
māyūsiyoñ ne kī haiñ vo ḳhāna-ḳharābiyāñ
ab dil meñ shauq-e-lazzat-e-āzār bhī nahīñ
parde se mat sunāo mujhe lan-tarāniyāñ
mūsā-sifat haiñ tālib-e-dīdār bhī nahīñ
uzr-e-visāl kar ke mujhe zab.h kar diyā
kahte ho mere haath meñ talvār bhī nahīñ
ai sabr-e-rafta āshiq-e-nāshād al-madad
shab-hā-e-hijr meñ koī ġham-ḳhvār bhī nahīñ
māñgūñ duā-e-marg-e-adū aah kis tarah
lazzat-fazā-e-dil alam-e-yār bhī nahīñ
ahbāb dene jaate haiñ kandhā na jaate kyoñ
aisī to merī laash girāñ-bār bhī nahīñ
'akbar' ke sher sun ke jale jaate haiñ adū
kahte haiñ garm aap ke ash.ār bhī nahīñ
wasl us sitam-shiar ka dushwar bhi nahin
iqrar bhi nahin hai to inkar bhi nahin
mayusiyon ne ki hain wo KHana-KHarabiyan
ab dil mein shauq-e-lazzat-e-azar bhi nahin
parde se mat sunao mujhe lan-taraniyan
musa-sifat hain talib-e-didar bhi nahin
uzr-e-visal kar ke mujhe zabh kar diya
kahte ho mere hath mein talwar bhi nahin
ai sabr-e-rafta aashiq-e-nashad al-madad
shab-ha-e-hijr mein koi gham-KHwar bhi nahin
mangun dua-e-marg-e-adu aah kis tarah
lazzat-faza-e-dil alam-e-yar bhi nahin
ahbab dene jate hain kandha na jate kyon
aisi to meri lash giran-bar bhi nahin
'akbar' ke sher sun ke jale jate hain adu
kahte hain garm aap ke ashaar bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.