wigha mein koi bhi aisa adu nahin aaya
viġhā meñ koī bhī aisā 'adū nahīñ aayā
hamārī teġh pe jis kā lahū nahīñ aayā
ye mat samajh ki mujhe jaañ 'azīz hai apnī
agar kabhī tah-e-ḳhanjar gulū nahīñ aayā
hamārī pursish-e-ahvāl ke liye aksar
tirā ḳhayāl to aayā hai tū nahīñ aayā
vo nā-tavāñ thā ki teġh-e-'adū ke chalne par
mire vujūd se bāhar lahū nahīñ aayā
maiñ aisā peḌ huuñ jis par bahār ho ki ḳhizāñ
kisī bhī daur meñ bār-e-numū nahīñ aayā
vo nā-umīd huā huuñ ḳhudā ke hote hue
mirī zabān pe lā-taqnatū nahīñ aayā
mahāz-e-‘ishq se nākām aa gayā lekin
ḳhudā kā shukr ki be-ābrū nahīñ aayā
kahīñ na phir se amāvas ne gher rakkhā ho
jo chāñd aaj sar-e-āb-jū nahīñ aayā
haañ vo tabīb to aayā thā neshtar ke liye
barā.e zahmat-e-kār-e-rafū nahīñ aayā
mujhe pata hai mohabbat hai kyā havas hai kyā
so us ko dekh to aayā huuñ chhū nahīñ aayā
vo 'aks mujh ko mukammal dikhā.ī de kaise
jo aa.ine meñ kabhī hū-bahū nahīñ aayā
wigha mein koi bhi aisa 'adu nahin aaya
hamari tegh pe jis ka lahu nahin aaya
ye mat samajh ki mujhe jaan 'aziz hai apni
agar kabhi tah-e-KHanjar gulu nahin aaya
hamari pursish-e-ahwal ke liye aksar
tera KHayal to aaya hai tu nahin aaya
wo na-tawan tha ki tegh-e-'adu ke chalne par
mere wujud se bahar lahu nahin aaya
main aisa peD hun jis par bahaar ho ki KHizan
kisi bhi daur mein bar-e-numu nahin aaya
wo na-umid hua hun KHuda ke hote hue
meri zaban pe la-taqnatu nahin aaya
mahaz-e-‘ishq se nakaam aa gaya lekin
KHuda ka shukr ki be-abru nahin aaya
kahin na phir se amawas ne gher rakkha ho
jo chand aaj sar-e-ab-ju nahin aaya
han wo tabib to aaya tha neshtar ke liye
barae zahmat-e-kar-e-rafu nahin aaya
mujhe pata hai mohabbat hai kya hawas hai kya
so us ko dekh to aaya hun chhu nahin aaya
wo 'aks mujh ko mukammal dikhai de kaise
jo aaine mein kabhi hu-bahu nahin aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.