viran dil mein raunaq-e-kashana ban ke aa
vīrān dil meñ raunaq-e-kāshāna ban ke aa
ai yād-e-yār jalva-e-jānāna ban ke aa
hāsil hoñ talḳhiyoñ meñ bhī lazzāt ai hayāt
bazm-e-jahāñ meñ gardish-e-paimāna ban ke aa
donoñ kī zulmatoñ ko zarūrat hai nuur kī
sham-e-haram charāġh-e-sanam-ḳhāna ban ke aa
sham.a-e-jamāl-e-yār farozāñ hai bazm meñ
dīdār kī havas hai to parvāna ban ke aa
apnoñ kī qadr hotī nahīñ is dayār meñ
har chand āshnā hai pe begāna ban ke aa
chashm-e-jahāñ ko nūr-e-haqīqat kī kab hai taab
marġhūb-e-tab.a jo ho vo afsāna ban ke aa
jā bazm-e-ahl-e-hāl meñ dīvāngī liye
aur bazm-e-ahl-e-qāl meñ farzāna ban ke aa
ruḳh dūsrā bhī apnā jahāñ ko dikhā hī de
ai shān-e-faqr satvat-e-shāhāna ban ke aa
hangāma-e-jahāñ se bahut thak chuke haiñ ab
ai zindagī ḳhamoshī-e-vīrāna ban ke aa
gar hai matā-e-ġham kā ḳharīdār ai 'valī'
bāzār-e-dard meñ zar-e-bai.āna ban ke aa
viran dil mein raunaq-e-kashana ban ke aa
ai yaad-e-yar jalwa-e-jaanana ban ke aa
hasil hon talKHiyon mein bhi lazzat ai hayat
bazm-e-jahan mein gardish-e-paimana ban ke aa
donon ki zulmaton ko zarurat hai nur ki
sham-e-haram charagh-e-sanam-KHana ban ke aa
shama-e-jamal-e-yar farozan hai bazm mein
didar ki hawas hai to parwana ban ke aa
apnon ki qadr hoti nahin is dayar mein
har chand aashna hai pe begana ban ke aa
chashm-e-jahan ko nur-e-haqiqat ki kab hai tab
marghub-e-taba jo ho wo afsana ban ke aa
ja bazm-e-ahl-e-haal mein diwangi liye
aur bazm-e-ahl-e-qal mein farzana ban ke aa
ruKH dusra bhi apna jahan ko dikha hi de
ai shan-e-faqr satwat-e-shahana ban ke aa
hangama-e-jahan se bahut thak chuke hain ab
ai zindagi KHamoshi-e-virana ban ke aa
gar hai mata-e-gham ka KHaridar ai 'wali'
bazar-e-dard mein zar-e-baiana ban ke aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.