Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

viran ghar hai raunaq-e-bazar bhi nahin

Wahid Nazeer

viran ghar hai raunaq-e-bazar bhi nahin

Wahid Nazeer

MORE BYWahid Nazeer

    vīrān ghar hai raunaq-e-bāzār bhī nahīñ

    maiñ Tuut jā.ūñ is ke kuchh āsār bhī nahīñ

    ai shaiḳh jab vāqif-e-kirdār bhī nahīñ

    ehtirām-e-jubba-o-dastār bhī nahīñ

    sūraj ne merī zid meñ shajar saare khā liye

    mujh ko ḳhayāl-e-sāya-e-dīvār bhī nahīñ

    ab kyā kahūñ ki kahne kuchh to javāz ho

    jab vo nahīñ to lazzat-e-iz.hār bhī nahīñ

    baḌhtī rahī hai mire dil kashmakash

    vo bā-vafā hai aur vafādār bhī nahīñ

    ustād ne ye kah ke ġhazal muñh pe maar

    tarhī ġhazal hai aur tarah-dār bhī nahīñ

    ab she'r haiñ to kuchh to hunar chāhiye miyāñ

    haañ Thiik hai ye daftar-e-asrār bhī nahīñ

    ḳhud ko miTā sako to mirī iqtidā karo

    pās-e-anā bhī aur dar-e-yār bhī nahīñ

    karam kare to mire harf hoñ du'ā

    maulā mujhe salīqa-e-iz.hār bhī nahīñ

    duniyā tujhe hai biknā jahāñ shauq se to bik

    'vāhid-nazīr' terā ḳharīdār bhī nahīñ

    viran ghar hai raunaq-e-bazar bhi nahin

    main Tut jaun is ke kuchh aasar bhi nahin

    ai shaiKH jab tu waqif-e-kirdar bhi nahin

    ja ehtiram-e-jubba-o-dastar bhi nahin

    suraj ne meri zid mein shajar sare kha liye

    mujh ko KHayal-e-saya-e-diwar bhi nahin

    ab kya kahun ki kahne ka kuchh to jawaz ho

    jab wo nahin to lazzat-e-izhaar bhi nahin

    baDhti hi ja rahi hai mere dil ki kashmakash

    wo ba-wafa hai aur wafadar bhi nahin

    ustad ne ye kah ke ghazal munh pe mar di

    tarhi ghazal hai aur tarah-dar bhi nahin

    ab she'r hain to kuchh to hunar chahiye miyan

    han Thik hai ye daftar-e-asrar bhi nahin

    KHud ko miTa sako to meri iqtida karo

    pas-e-ana bhi aur dar-e-yar bhi nahin

    tu hi karam kare to mere harf hon du'a

    maula mujhe saliqa-e-izhaar bhi nahin

    duniya tujhe hai bikna jahan shauq se to bik

    'wahid-nazir' tera KHaridar bhi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now