viran hai tamannaon ka manzar tere hote
vīrāñ hai tamannāoñ kā manzar tire hote
kyā haal hai dil kā mire dilbar tire hote
ik chashm-e-karam shahr-e-ġharībāñ pe idhar bhī
pyāsā hai nagar ek samundar tire hote
kuchh tujh ko ḳhabar hai mire dam-sāz masīhā
phirtā huuñ rah-e-zīst meñ dar dar tire hote
kyā tujh ko gavārā hai tirā banda-e-majbūr
aġhyār kī chaukhaT pe rakhe sar tire hote
ai gardish-e-mīnā-e-shab-o-roz batā kuchh
kyoñ shahr meñ haiñ itne gadāgar tire hote
ik ye bhī hai andāz tire husn-e-karam kā
huuñ rah ke vatan meñ bhī musāfir tire hote
hai kunj-e-qafas meñ ye tirā haal ġham-e-dil
kyā hashr uThātā jo kabhī par tire hote
qātil bhī hai tū aur masīhā bhī mirā tū
kyā rang karūñ dil kā fusūñ-gar tire hote
ik marhala-e-marg abhī aur hai baaqī
ye kaam bhī ho jaa.e sitamgar tire hote
ai 'shaiḳh' tire fikr kī ye sho'la-bayānī
mānind-e-guhar-hā-e-suḳhan-var tire hote
viran hai tamannaon ka manzar tere hote
kya haal hai dil ka mere dilbar tere hote
ek chashm-e-karam shahr-e-ghariban pe idhar bhi
pyasa hai nagar ek samundar tere hote
kuchh tujh ko KHabar hai mere dam-saz masiha
phirta hun rah-e-zist mein dar dar tere hote
kya tujh ko gawara hai tera banda-e-majbur
aghyar ki chaukhaT pe rakhe sar tere hote
ai gardish-e-mina-e-shab-o-roz bata kuchh
kyon shahr mein hain itne gadagar tere hote
ek ye bhi hai andaz tere husn-e-karam ka
hun rah ke watan mein bhi musafir tere hote
hai kunj-e-qafas mein ye tera haal gham-e-dil
kya hashr uThata jo kabhi par tere hote
qatil bhi hai tu aur masiha bhi mera tu
kya rang karun dil ka fusun-gar tere hote
ek marhala-e-marg abhi aur hai baqi
ye kaam bhi ho jae sitamgar tere hote
ai 'shaiKH' tere fikr ki ye sho'la-bayani
manind-e-guhar-ha-e-suKHan-war tere hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.