viran maqbaron se chalo mashwara karen
vīrān maqbaroñ se chalo mashvara kareñ
nām-o-nasab kā daur huā ḳhatm kyā kareñ
uḌtī hai ḳhaak kamroñ meñ aaseb kī tarah
dīvār-o-dar ko ġhaur se kab tak takā kareñ
hāthoñ meñ le ke camera bhaTkeñ tamām umr
maazī kī bikhrī yādoñ ko yakjā kiyā kareñ
ham sin-rasīda logoñ kī sohbat meñ baiTh kar
raushan zamīr vāloñ ke qisse sunā kareñ
aaya hai mere shahr meñ lekin milā nahīñ
vo kis jagah asiir hai chal kar patā kareñ
'jāved' terī ġhazloñ kā lahja hai muḳhtalif
dil ko tire mizāj se kyoñ āshnā kareñ
viran maqbaron se chalo mashwara karen
nam-o-nasab ka daur hua KHatm kya karen
uDti hai KHak kamron mein aaseb ki tarah
diwar-o-dar ko ghaur se kab tak taka karen
hathon mein le ke camera bhaTken tamam umr
mazi ki bikhri yaadon ko yakja kiya karen
hum sin-rasida logon ki sohbat mein baiTh kar
raushan zamir walon ke qisse suna karen
aaya hai mere shahr mein lekin mila nahin
wo kis jagah asir hai chal kar pata karen
'jawed' teri ghazlon ka lahja hai muKHtalif
dil ko tere mizaj se kyon aashna karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.