viran tha dil aaj bhi virana wahi hai
vīrān thā dil aaj bhī vīrāna vahī hai
ye daur nayā hai magar afsāna vahī hai
tū pālkī meñ baiTh ke gum ho gayā lekin
galiyoñ se tirī aaj bhī yārāna vahī hai
ham bhī nahīñ badle ye jahāñ bhī nahīñ badlā
har roz har ik baat pe Takrānā vahī hai
ab tak vahī hai husn kā pal pal meñ badalnā
ab tak tire dīvānoñ kā ghabrānā vahī hai
guzre the tire saath kabhī rāh-e-chaman se
ye soch kar is raah meñ itrānā vahī hai
jo qais ko duniyā se 'alī' sang mile the
hai rasm vahī ishq kī nazrāna vahī hai
viran tha dil aaj bhi virana wahi hai
ye daur naya hai magar afsana wahi hai
tu palki mein baiTh ke gum ho gaya lekin
galiyon se teri aaj bhi yarana wahi hai
hum bhi nahin badle ye jahan bhi nahin badla
har roz har ek baat pe Takrana wahi hai
ab tak wahi hai husn ka pal pal mein badalna
ab tak tere diwanon ka ghabrana wahi hai
guzre the tere sath kabhi rah-e-chaman se
ye soch kar is rah mein itrana wahi hai
jo qais ko duniya se 'ali' sang mile the
hai rasm wahi ishq ki nazrana wahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.