virana-e-hasti mein jo kal rah-numa tha
vīrāna-e-hastī meñ jo kal rāh-numā thā
kyoñ aaj vo apnā hī patā pūchh rahā thā
murjhā ke bikhar jaanā hī taqdīr thī us kī
vo phuul sar-e-shāḳh-e-tamannā jo khilā thā
thā kūcha-e-dildār meñ ik sehr kā aalam
jo mujh ko nazar aaya vo apnā sā lagā thā
us ne hī mirī fikr ko baḳhshī hai harārat
ik aag kā dariyā jo kabhī paar kiyā thā
vo baat na kartā yahī behtar thā sar-e-bazm
is barf se lahje meñ to ik sho.ala chhupā thā
haiñ yaad ḳhad-o-ḳhāl na ab us kā sarāpā
vo jis kī hathelī pe mirā naam likhā thā
be-vaj.h koī ḳhud ko miTātā nahīñ 'sājid'
marnā hai agar kufr to jiinā bhī sazā thā
virana-e-hasti mein jo kal rah-numa tha
kyon aaj wo apna hi pata puchh raha tha
murjha ke bikhar jaana hi taqdir thi us ki
wo phul sar-e-shaKH-e-tamanna jo khila tha
tha kucha-e-dildar mein ek sehr ka aalam
jo mujh ko nazar aaya wo apna sa laga tha
us ne hi meri fikr ko baKHshi hai hararat
ek aag ka dariya jo kabhi par kiya tha
wo baat na karta yahi behtar tha sar-e-bazm
is barf se lahje mein to ek shoala chhupa tha
hain yaad KHad-o-KHal na ab us ka sarapa
wo jis ki hatheli pe mera nam likha tha
be-wajh koi KHud ko miTata nahin 'sajid'
marna hai agar kufr to jina bhi saza tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.