virane ko ghar karte hain
vīrāne ko ghar karte haiñ
aisā ham aksar karte haiñ
ḳhvāboñ ke kuchh gul-būToñ se
sahrā ko ham ghar karte haiñ
ḳhud ko behtar karte karte
duniyā ko bad-tar karte haiñ
duniyā se laḌne kī ḳhātir
ḳhud ko ham ḳhanjar karte haiñ
ik muddat se jaane kyoñ ham
ghar ko bhī daftar karte haiñ
ghar meñ vo gar aa jaa.e to
ham andar bāhar karte haiñ
koī pūchhe hāl-e-dil to
āñkhoñ ko ham tar karte haiñ
virane ko ghar karte hain
aisa hum aksar karte hain
KHwabon ke kuchh gul-buTon se
sahra ko hum ghar karte hain
KHud ko behtar karte karte
duniya ko bad-tar karte hain
duniya se laDne ki KHatir
KHud ko hum KHanjar karte hain
ek muddat se jaane kyon hum
ghar ko bhi daftar karte hain
ghar mein wo gar aa jae to
hum andar bahar karte hain
koi puchhe haal-e-dil to
aankhon ko hum tar karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.