viraniyan chunen hain ujaDe nahin gae
vīrāniyāñ chuneñ haiñ ujāḌe nahīñ ga.e
ham ḳhud bigaḌ ga.e haiñ bigāḌe nahīñ ga.e
duniyā ke kaam ham se jugāḌe nahīñ ga.e
puurī tarah se haath bhī jhāḌe nahīñ ga.e
ham le ga.e zamīñ sar-o-sāmāñ ke saath saath
hargiz jaḌoñ se apnī ukhāḌe nahīñ ga.e
kāġhaz mirī darāz meñ do qism ke mile
likkhe nahīñ ga.e haiñ ki phāḌe nahīñ ga.e
mausam tumhārī yaad ke sab mausamoñ meñ the
lambī thiiñ garmiyāñ kabhī jaaḌe nahīñ ga.e
jaane kab uTh khaḌe hoñ rivājoñ ke murda jism
phūñke nahīñ ga.e haiñ jo gaaḌe nahīñ ga.e
tanhā.iyoñ meñ 'zarra' taraste rahe magar
ham mahfiloñ meñ bhiiḌ ke aaḌe nahīñ ga.e
viraniyan chunen hain ujaDe nahin gae
hum KHud bigaD gae hain bigaDe nahin gae
duniya ke kaam hum se jugaDe nahin gae
puri tarah se hath bhi jhaDe nahin gae
hum le gae zamin sar-o-saman ke sath sath
hargiz jaDon se apni ukhaDe nahin gae
kaghaz meri daraaz mein do qism ke mile
likkhe nahin gae hain ki phaDe nahin gae
mausam tumhaari yaad ke sab mausamon mein the
lambi thin garmiyan kabhi jaDe nahin gae
jaane kab uTh khaDe hon riwajon ke murda jism
phunke nahin gae hain jo gaDe nahin gae
tanhaiyon mein 'zarra' taraste rahe magar
hum mahfilon mein bhiD ke aaDe nahin gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.