viraniyon ke Khaar to phulon ki chhuwan bhi
vīrāniyoñ ke ḳhaar to phūloñ kī chhuvan bhī
is raah meñ aa.e haiñ bayābāñ bhī chaman bhī
khulnā thā faqat ek darīcha mire ghar kā
phir raushnī bhī aa.ii, huī duur ghuTan bhī
bachche ne sajā.ī hai koī aur hī duniyā
khīñchā hai jahāñ baagh vahīñ rakkhā hai hiran bhī
yaad apne vatan kī mujhe aatī nahīñ ab to
ab bhuul chukā hogā mujhe merā vatan bhī
hassās banā Daalā mujhe had se ziyāda
aur is pe mohabbat ne diyā sher kā fan bhī
kis khoj meñ the shahr ke sab log na jaane
chehroñ pe udāsī bhī hai āñkhoñ meñ thakan bhī
āsān nahīñ hai ye safar ruuh kā 'saurabh'
haa.il hai tirī raah meñ ik dasht-e-badan bhī
viraniyon ke KHar to phulon ki chhuwan bhi
is rah mein aae hain bayaban bhi chaman bhi
khulna tha faqat ek daricha mere ghar ka
phir raushni bhi aai, hui dur ghuTan bhi
bachche ne sajai hai koi aur hi duniya
khincha hai jahan bagh wahin rakkha hai hiran bhi
yaad apne watan ki mujhe aati nahin ab to
ab bhul chuka hoga mujhe mera watan bhi
hassas bana Dala mujhe had se ziyaada
aur is pe mohabbat ne diya sher ka fan bhi
kis khoj mein the shahr ke sab log na jaane
chehron pe udasi bhi hai aankhon mein thakan bhi
aasan nahin hai ye safar ruh ka 'saurabh'
hail hai teri rah mein ek dasht-e-badan bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.