wirasat mein mili thi jo wo daulat ja rahi hai
virāsat meñ milī thī jo vo daulat jā rahī hai
bahut din se kutub-ḳhāne ko dīmak khā rahī hai
nazar aa.ī hai sab ko aa.ine meñ apnī sūrat
sabhī ke naam par uñglī uThā.ī jā rahī hai
ye kaisā ajnabī lamha ta.āqub meñ hai apne
udāsī ghar ke andar paañv ab phailā rahī hai
numūd-e-sub.h hote hī ghar aa.ī koī bulbul
maze se naġhma-e-ulfat yahāñ par gā rahī hai
parakhtī hai nigāh-e-vaqt kis kis zāviye se
ye kaise mas.aloñ kī gutthiyāñ suljhā rahī hai
zamāne kī koī parvā kare āḳhir kahāñ tak
vo titlī hai use phūloñ kī sohbat bhā rahī hai
ye kaisī maslahat se log milte haiñ yahāñ par
ye kin jazbāt meñ chāhat simaTtī jā rahī hai
'azīm' is dā.ere se kis tarah bāhar maiñ niklūñ
ajab ḳhushbū sī zehn-o-dil pe mere chhā rahī hai
wirasat mein mili thi jo wo daulat ja rahi hai
bahut din se kutub-KHane ko dimak kha rahi hai
nazar aai hai sab ko aaine mein apni surat
sabhi ke nam par ungli uThai ja rahi hai
ye kaisa ajnabi lamha taaqub mein hai apne
udasi ghar ke andar panw ab phaila rahi hai
numud-e-subh hote hi ghar aai koi bulbul
maze se naghma-e-ulfat yahan par ga rahi hai
parakhti hai nigah-e-waqt kis kis zawiye se
ye kaise masalon ki gutthiyan suljha rahi hai
zamane ki koi parwa kare aaKHir kahan tak
wo titli hai use phulon ki sohbat bha rahi hai
ye kaisi maslahat se log milte hain yahan par
ye kin jazbaat mein chahat simaTti ja rahi hai
'azim' is daere se kis tarah bahar main niklun
ajab KHushbu si zehn-o-dil pe mere chha rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.