Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

visal-e-yar kaise ho ye qissa kuchh ajab bhi hai

Imran Azeem

visal-e-yar kaise ho ye qissa kuchh ajab bhi hai

Imran Azeem

MORE BYImran Azeem

    visāl-e-yār kaise ho ye qissa kuchh ajab bhī hai

    charāġh-e-dil jale kab tak bahut lambī ye shab bhī hai

    hameñ kuchh der ghar khiḌkiyāñ bhī band karne do

    balā shor hai bāhar ḳhamoshī talab bhī hai

    vahī pahchān hai apnī vahī hai apnī azmat bhī

    kahīñ bhī pūchh lenā apnā koī nām-o-nasab bhī hai

    ye āñkheñ diid tālib haiñ ab bhī bevafā man le

    mulāqāteñ nahīñ hotīñ mirī jaañ kuchh sabab bhī hai

    tumhāre naam ko sunte ḳhush hotā thā dil merā

    tumhārā zikr aate in āñkhoñ meñ ġhazab bhī hai

    mire bachche javāñ haiñ phir bhī sahmā sahmā rahtā huuñ

    abhī bhī Dar hai vālid vahī dil meñ adab bhī hai

    khanaktī chūḌiyoñ meñ hai chhalakte jaam partav

    surūr-o-raqs rut hai aur ik jashn-e-talab bhī hai

    'azīm' ab tak vahī yādeñ vahī hai miil patthar

    guzargāhoñ har manzar jo pahle thā so ab bhī hai

    visal-e-yar kaise ho ye qissa kuchh ajab bhi hai

    charagh-e-dil jale kab tak bahut lambi ye shab bhi hai

    hamein kuchh der ghar ki khiDkiyan bhi band karne do

    bala ka shor hai bahar KHamoshi ki talab bhi hai

    wahi pahchan hai apni wahi hai apni azmat bhi

    kahin bhi puchh lena apna koi nam-o-nasab bhi hai

    ye aankhen did ki talib hain ab bhi bewafa man le

    mulaqaten nahin hotin meri jaan kuchh sabab bhi hai

    tumhaare nam ko sunte hi KHush hota tha dil mera

    tumhaara zikr aate hi in aankhon mein ghazab bhi hai

    mere bachche jawan hain phir bhi sahma sahma rahta hun

    abhi bhi Dar hai walid ka wahi dil mein adab bhi hai

    khanakti chuDiyon mein hai chhalakte jam ka partaw

    surur-o-raqs ki rut hai aur ek jashn-e-talab bhi hai

    'azim' ab tak wahi yaaden wahi hai mil ka patthar

    guzargahon ka har manzar jo pahle tha so ab bhi hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now