visal-e-yar mein hain sar-KHushan gulab ke phul
visāl-e-yār meñ haiñ sar-ḳhushāñ gulāb ke phuul
umaD paḌe haiñ yahāñ se vahāñ gulāb ke phuul
sharāb jugnū havā titliyāñ gulāb ke phuul
sabhī farefta-dil āshiqāñ gulāb ke phuul
laraz rahe haiñ shafaq par mohabbatoñ ke ḳhumār
bikhar rahe haiñ sar-e-be-karāñ gulāb ke phuul
dayār-e-yār meñ khulne lage bahār ke rang
ḳhayāl-e-yār meñ nik.hat-fashāñ gulāb ke phuul
rakhe haiñ kāñTe bhī ham ne 'azīz-tar lekin
ḳhudā kare ki na hoñ bad-gumāñ gulāb ke phuul
chaman meñ Dāliyāñ labrez haiñ umangoñ se
kahīñ pe suukh ga.e be-nishāñ gulāb ke phuul
ravish ravish meñ utar aa.e haiñ misāl-e-bahisht
sañbhal rahe haiñ liye Tahniyāñ gulāb ke phuul
farishte DhūñDte rahte haiñ āsmānoñ meñ
falak se aa.eñ zamīñ par yahāñ gulāb ke phuul
kahāñ kahāñ na uThe haiñ shabāb ke fitne
raqam kareñ vo na.ī dāstāñ gulāb ke phuul
bharī huī haiñ bahāroñ kī jholiyāñ 'barham'
mirī lahad pe gireñ mehrbāñ gulāb ke phuul
visal-e-yar mein hain sar-KHushan gulab ke phul
umaD paDe hain yahan se wahan gulab ke phul
sharab jugnu hawa titliyan gulab ke phul
sabhi farefta-dil aashiqan gulab ke phul
laraz rahe hain shafaq par mohabbaton ke KHumar
bikhar rahe hain sar-e-be-karan gulab ke phul
dayar-e-yar mein khulne lage bahaar ke rang
KHayal-e-yar mein nikhat-fashan gulab ke phul
rakhe hain kanTe bhi hum ne 'aziz-tar lekin
KHuda kare ki na hon bad-guman gulab ke phul
chaman mein Daliyan labrez hain umangon se
kahin pe sukh gae be-nishan gulab ke phul
rawish rawish mein utar aae hain misal-e-bahisht
sanbhal rahe hain liye Tahniyan gulab ke phul
farishte DhunDte rahte hain aasmanon mein
falak se aaen zamin par yahan gulab ke phul
kahan kahan na uThe hain shabab ke fitne
raqam karen wo nai dastan gulab ke phul
bhari hui hain bahaaron ki jholiyan 'barham'
meri lahad pe giren mehrban gulab ke phul
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.