visal-o-hijr ke dauraniye paDe hue hain
visāl-o-hijr ke daurāniye paḌe hue haiñ
kahīñ pe ḳhvāb kahīñ ratjage paḌe hue haiñ
lahū kā rang bhī taaza hai jā-ba-jā dekho
kahīñ pe baste kahīñ qā.ede paḌe hue haiñ
juḌā huā hai mire ghar se koī vīrāna
jahāñ pe duur talak vāqiye paḌe hue haiñ
tumhāre lams ne lazzat kā ras nichoḌā hai
abhī badan meñ ka.ī zā.iqe paḌe hue haiñ
maiñ ḳhud ko kaise sañbhālūñ jo karbalā pahuñchūñ
qadam qadam pe vahāñ sānehe paḌe hue haiñ
hameñ safar kā ishārā nahīñ huā varna
zamīñ pe rāste hī rāste paḌe hue haiñ
kisī kā aks kisī se badal na jaa.e kahīñ
ik aa.ine meñ ka.ī aa.ine paḌe hue haiñ
visal-o-hijr ke dauraniye paDe hue hain
kahin pe KHwab kahin ratjage paDe hue hain
lahu ka rang bhi taza hai ja-ba-ja dekho
kahin pe baste kahin qaede paDe hue hain
juDa hua hai mere ghar se koi virana
jahan pe dur talak waqiye paDe hue hain
tumhaare lams ne lazzat ka ras nichoDa hai
abhi badan mein kai zaiqe paDe hue hain
main KHud ko kaise sanbhaalun jo karbala pahunchun
qadam qadam pe wahan sanehe paDe hue hain
hamein safar ka ishaara nahin hua warna
zamin pe raste hi raste paDe hue hain
kisi ka aks kisi se badal na jae kahin
ek aaine mein kai aaine paDe hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.