wo aa jae to mera shahr-e-dil aabaad ho jae
vo aa jaa.e to merā shahr-e-dil ābād ho jaa.e
phir us ke baa'd vo mere liye sayyād ho jaa.e
kisī se ishq kā iz.hār ḳhāmoshī bhī hotī hai
zarūrī hai ki koī aadmī farhād ho jaa.e
ajab hotī hai hālat jab kabhī ye dil machaltā hai
kabhī ye shaad hotā hai kabhī nāshād ho jaa.e
jo honī hai muqaddar meñ vo ik din ho ke rahtī hai
gila kyā kījiye duniyā agar barbād ho jaa.e
sunahre ḳhvāb to dekhe magar ta.abīr kab niklī
koī to aa.e din aisā ki ye dil shaad ho jaa.e
sitam kā din bhī lambā aur alam kī raat bhī lambī
bhalā phir kyoñ na koī ḳhānamāñ-barbād ho jaa.e
sunā hai tum bhī koī aadmī the ik zamāne meñ
vo kyā din the zarā ahvāl ai 'shahzād' ho jaa.e
wo aa jae to mera shahr-e-dil aabaad ho jae
phir us ke ba'd wo mere liye sayyaad ho jae
kisi se ishq ka izhaar KHamoshi bhi hoti hai
zaruri hai ki koi aadmi farhad ho jae
ajab hoti hai haalat jab kabhi ye dil machalta hai
kabhi ye shad hota hai kabhi nashad ho jae
jo honi hai muqaddar mein wo ek din ho ke rahti hai
gila kya kijiye duniya agar barbaad ho jae
sunahre KHwab to dekhe magar tabir kab nikli
koi to aae din aisa ki ye dil shad ho jae
sitam ka din bhi lamba aur alam ki raat bhi lambi
bhala phir kyon na koi KHanaman-barbaad ho jae
suna hai tum bhi koi aadmi the ek zamane mein
wo kya din the zara ahwal ai 'shahzad' ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.