wo aa rahe hain wo ja rahe hain mere tasawwur pe chha rahe hain
wo aa rahe hain wo ja rahe hain mere tasawwur pe chha rahe hain
Iqbal Husain Rizvi Iqbal
MORE BYIqbal Husain Rizvi Iqbal
vo aa rahe haiñ vo jā rahe haiñ mire tasavvur pe chhā rahe haiñ
kabhī haiñ dil meñ kabhī jigar meñ kabhī nazar meñ samā rahe haiñ
junūñ-navāzī hai merī fitrat isī se hāsil hai mujh ko rāhat
jo mujh se hosh-o-ḳhirad ne chhīnā junūñ ke sadqe vo pā rahe haiñ
jigar ko rokūñ yā dil ko thāmūñ ilāhī kis kis ko maiñ sambhālūñ
mire tasavvur kī anjuman meñ vo aaj ban-Than ke aa rahe haiñ
lagā.ī dil meñ kuchh aisī tū ne ye ātish-e-sozish-e-mohabbat
bhaḌak rahī hai ye utnā paiham ham us ko jitnā bujhā rahe haiñ
ye rāh-e-ulfat kī Thokareñ haiñ inheñ na manzil samajh ke Thahro
qadam baḌhāo vo qāfila hai tumhāre sāthī bulā rahe haiñ
haiñ rahravān-e-rah-e-mohabbat nirālī rasmeñ nirālī fitrat
jahāñ luTā kārvān-e-ulfat vahīñ pe manzil banā rahe haiñ
na ham ko sher-o-suḳhan se matlab na ishrat-e-anjuman se matlab
kisī ko 'iqbāl' dāstān-e-ġham-e-mohabbat sunā rahe haiñ
wo aa rahe hain wo ja rahe hain mere tasawwur pe chha rahe hain
kabhi hain dil mein kabhi jigar mein kabhi nazar mein sama rahe hain
junun-nawazi hai meri fitrat isi se hasil hai mujh ko rahat
jo mujh se hosh-o-KHirad ne chhina junun ke sadqe wo pa rahe hain
jigar ko rokun ya dil ko thamun ilahi kis kis ko main sambhaalun
mere tasawwur ki anjuman mein wo aaj ban-Than ke aa rahe hain
lagai dil mein kuchh aisi tu ne ye aatish-e-sozish-e-mohabbat
bhaDak rahi hai ye utna paiham hum us ko jitna bujha rahe hain
ye rah-e-ulfat ki Thokaren hain inhen na manzil samajh ke Thahro
qadam baDhao wo qafila hai tumhaare sathi bula rahe hain
hain rahrawan-e-rah-e-mohabbat nirali rasmen nirali fitrat
jahan luTa karwan-e-ulfat wahin pe manzil bana rahe hain
na hum ko sher-o-suKHan se matlab na ishrat-e-anjuman se matlab
kisi ko 'iqbaal' dastan-e-gham-e-mohabbat suna rahe hain
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 47)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.