wo aadmi to hasin hai bhala bhala sa hai
wo aadmi to hasin hai bhala bhala sa hai
Sarshaar buland Shahri
MORE BYSarshaar buland Shahri
vo aadmī to hasīñ hai bhalā bhalā sā hai
ġhamoñ kī dhuul se chehra aTā aTā sā hai
fasīl-e-shahr se aage na jā.iyegā abhī
ġhalīz ḳhuun kā dariyā chaḌhā chaḌhā sā hai
girāñ na guzre mujhe sūkhte hue lamhe
diloñ meñ pyaar kā jazba luTā luTā sā hai
maiñ apne gaañv meñ jā.ūñ to kaun pahchāne
mahakte ḳhuun kā rishta bujhā bujhā sā hai
maiñ chāhtā huuñ muqaddas zamīn kī ḳhushbū
par āsmāñ mirī jānib jhukā jhukā sā hai
kahāñ ga.e tirī sāñsoñ ke narm naḳhlistāñ
ye mere jism kā sahrā tapā tapā sā hai
wo aadmi to hasin hai bhala bhala sa hai
ghamon ki dhul se chehra aTa aTa sa hai
fasil-e-shahr se aage na jaiyega abhi
ghaliz KHun ka dariya chaDha chaDha sa hai
giran na guzre mujhe sukhte hue lamhe
dilon mein pyar ka jazba luTa luTa sa hai
main apne ganw mein jaun to kaun pahchane
mahakte KHun ka rishta bujha bujha sa hai
main chahta hun muqaddas zamin ki KHushbu
par aasman meri jaanib jhuka jhuka sa hai
kahan gae teri sanson ke narm naKHlistan
ye mere jism ka sahra tapa tapa sa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.