wo aae unki rah magar dekhte rahe
vo aa.e un kī raah magar dekhte rahe
mahv-e-ḳhayāl jānib-e-dar dekhte rahe
gulshan meñ yuuñ to aam rihā.ī kā hukm thā
tere asiir tujh ko magar dekhte rahe
ab tak ye rāz-e-husn na ma.alūm ho sakā
kyā dekhte rahe vo jidhar dekhte rahe
baḳhshā kisī ne aañkh ko vo kaif-e-sarmadī
ā.īne meñ ḳhud apnī nazar dekhte rahe
apnī nazar ke sāmne jaltā rahā chaman
jalte hue ham āñkhoñ se ghar dekhte rahe
wo aae un ki rah magar dekhte rahe
mahw-e-KHayal jaanib-e-dar dekhte rahe
gulshan mein yun to aam rihai ka hukm tha
tere asir tujh ko magar dekhte rahe
ab tak ye raaz-e-husn na malum ho saka
kya dekhte rahe wo jidhar dekhte rahe
baKHsha kisi ne aankh ko wo kaif-e-sarmadi
aaine mein KHud apni nazar dekhte rahe
apni nazar ke samne jalta raha chaman
jalte hue hum aankhon se ghar dekhte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.