wo aaenge bhi mere ghar to aur kya hoga
vo ā.eñge bhī mire ghar to aur kyā hogā
yahī ki dard-e-dil-e-zār kuchh sivā hogā
malāl is kā na farmā.eñ ho hī jaatā hai
sunā kuchh aap ne ham se to kuchh kahā hogā
mirī bhī rāhguzar thī kabhī galī un kī
sabā ne naqsh-e-kaf-e-pā miTā diyā hogā
chhiḌā huā hai fasāna koī gulistāñ meñ
hamārī un kī mohabbat kā mājrā hogā
idhar bhī dekhiye lillāh sochiye to sahī
ham aa.e haiñ jo yahāñ koī mudda.ā hogā
ham aur shikva-e-bedād ḳhair kyā kahiye
kisī ne aa ke yahī aap se kahā hogā
kisī ke zikr pe ye bad-gumāniyāñ tauba
hasīn hogā koī lekin aap sā hogā
hamāre sāmne ye choñchle raqīboñ se
ab un kī bazm meñ jo aa.e be-hayā hogā
jo umr aap ke va.adoñ pe kaaT de apnī
vo ḳhāksār nahīñ koī dūsrā hogā
wo aaenge bhi mere ghar to aur kya hoga
yahi ki dard-e-dil-e-zar kuchh siwa hoga
malal is ka na farmaen ho hi jata hai
suna kuchh aap ne hum se to kuchh kaha hoga
meri bhi rahguzar thi kabhi gali un ki
saba ne naqsh-e-kaf-e-pa miTa diya hoga
chhiDa hua hai fasana koi gulistan mein
hamari un ki mohabbat ka majra hoga
idhar bhi dekhiye lillah sochiye to sahi
hum aae hain jo yahan koi muddaa hoga
hum aur shikwa-e-bedad KHair kya kahiye
kisi ne aa ke yahi aap se kaha hoga
kisi ke zikr pe ye bad-gumaniyan tauba
hasin hoga koi lekin aap sa hoga
hamare samne ye chonchle raqibon se
ab un ki bazm mein jo aae be-haya hoga
jo umr aap ke wadon pe kaT de apni
wo KHaksar nahin koi dusra hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.