wo aaghaz-e-mohabbat ka zamana
vo āġhāz-e-mohabbat kā zamāna
zarā sī baat bantī thī fasāna
qafas ko kyuuñ samajh luuñ āshiyāna
abhī to karvaTeñ legā zamāna
ye kah kar sabr karte haiñ sitam par
hamārā bhī kabhī hogā zamāna
qafas se bhī nikālā jā rahā huuñ
kahāñ le jaa.e dekho āb-o-dāna
ġhurūr itnā na kar tīr-e-sitam par
ki aksar chuuk jaatā hai nishāna
agar bijlī kā Dar hogā to un ko
bulandī par hai jin kā āshiyāna
kahānī dard-e-dil kī sun ke pūchhā
'qamar' sach kah ye kis kā hai fasāna
wo aaghaz-e-mohabbat ka zamana
zara si baat banti thi fasana
qafas ko kyun samajh lun aashiyana
abhi to karwaTen lega zamana
ye kah kar sabr karte hain sitam par
hamara bhi kabhi hoga zamana
qafas se bhi nikala ja raha hun
kahan le jae dekho aab-o-dana
ghurur itna na kar tir-e-sitam par
ki aksar chuk jata hai nishana
agar bijli ka Dar hoga to un ko
bulandi par hai jin ka aashiyana
kahani dard-e-dil ki sun ke puchha
'qamar' sach kah ye kis ka hai fasana
- Book : Rashq-e-Qamar (Pg. 44)
- Author : Qamar Jalalvi
- Publication : Navrang Kitab Ghar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.