wo aainon mein chehra DhunDhta hai
vo ā.īnoñ meñ chehra DhūñDhtā hai
ḳhudā jaane use kyā ho gayā hai
ik ik chappe pe sau pahre lage haiñ
parinda bhī kahāñ par mārtā hai
nikal ā.eñge kab ishrat-kadoñ se
november patta patta gir rahā hai
vo pal aa hī gayā ḳhanjar nikālo
kahīñ pītal kā būḌhā khāñstā hai
jabīñ se phūTte haiñ ḳhuuñ ke qatre
kahā kis ne vo patthar kā banā hai
use apnā nahīñ bastī kā ġham hai
kināroñ par akelā jāgtā hai
nikal ā.eñge barg-o-shāḳh tan par
koī saaya ragoñ meñ hāñptā hai
jise tai karne meñ ik umr guzrī
usī koh-e-girāñ kā sāmnā hai
wo aainon mein chehra DhunDhta hai
KHuda jaane use kya ho gaya hai
ek ek chappe pe sau pahre lage hain
parinda bhi kahan par marta hai
nikal aaenge kab ishrat-kadon se
nowember patta patta gir raha hai
wo pal aa hi gaya KHanjar nikalo
kahin pital ka buDha khansta hai
jabin se phuTte hain KHun ke qatre
kaha kis ne wo patthar ka bana hai
use apna nahin basti ka gham hai
kinaron par akela jagta hai
nikal aaenge barg-o-shaKH tan par
koi saya ragon mein hanpta hai
jise tai karne mein ek umr guzri
usi koh-e-giran ka samna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.