wo aaine mein junhi mere sang hone lagi
vo aa.ine meñ jūñhī mere sang hone lagī
jo dhul kāñch pe Thahrī thī rang hone lagī
ye zindagī kisī sūkhe kueñ kā kāġhaz thī
tumhāre haath lagī to patang hone lagī
tirī talāsh meñ lahroñ pe chal rahā thā maiñ
to pāniyoñ meñ achānak surang hone lagī
vo lag rahī thī na.e ghāghre meñ desī girl
purānī jeans pahan kar farang hone lagī
ghaḌī ke kāñTe bhī bārah ke baa'd uḌne lage
añdherī raat kī cholī bhī tang hone lagī
wo aaine mein junhi mere sang hone lagi
jo dhul kanch pe Thahri thi rang hone lagi
ye zindagi kisi sukhe kuen ka kaghaz thi
tumhaare hath lagi to patang hone lagi
teri talash mein lahron pe chal raha tha main
to paniyon mein achanak surang hone lagi
wo lag rahi thi nae ghaghre mein desi girl
purani jeans pahan kar farang hone lagi
ghaDi ke kanTe bhi barah ke ba'd uDne lage
andheri raat ki choli bhi tang hone lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.