wo aaj ho gaya shamil adu ke lashkar mein
vo aaj ho gayā shāmil adū ke lashkar meñ
jo baiThtā thā hamesha mire barābar meñ
hamāre qalb-o-jigar ko lahūluhān kiyā
baḌā hī vazn thā us bevafā ke patthar meñ
tamām ne.amateñ rab ne mujhe atā kī haiñ
bas ek us ko na likkhā mire muqaddar meñ
maiñ apnā haal kisī se bayāñ nahīñ kartā
baḌī hī shaan se rahtā huuñ apne chhappar meñ
mujhe nahīñ hai zarūrat tirī ināyat kī
ḳhudā ke fazl se har chiiz hai mire ghar meñ
har ek shaḳhs meñ kamiyāñ talāsh karte ho
jhalak rahā hai takabbur tumhāre tevar meñ
samundaroñ se sadaf vo hī le ke aatā hai
buland hausla hotā hai jis shanāvar meñ
munāfiqoñ pe kabhī e.atibār mat karnā
chhupā ke rakhte haiñ ḳhanjar sadā gul-e-tar meñ
tumheñ bhī aa gayā 'afzal' shu.ūr-e-sher-o-suḳhan
tumhārā naam bhī shāmil huā suḳhnavar meñ
wo aaj ho gaya shamil adu ke lashkar mein
jo baiThta tha hamesha mere barabar mein
hamare qalb-o-jigar ko lahuluhan kiya
baDa hi wazn tha us bewafa ke patthar mein
tamam neamaten rab ne mujhe ata ki hain
bas ek us ko na likkha mere muqaddar mein
main apna haal kisi se bayan nahin karta
baDi hi shan se rahta hun apne chhappar mein
mujhe nahin hai zarurat teri inayat ki
KHuda ke fazl se har chiz hai mere ghar mein
har ek shaKHs mein kamiyan talash karte ho
jhalak raha hai takabbur tumhaare tewar mein
samundaron se sadaf wo hi le ke aata hai
buland hausla hota hai jis shanawar mein
munafiqon pe kabhi eatibar mat karna
chhupa ke rakhte hain KHanjar sada gul-e-tar mein
tumhein bhi aa gaya 'afzal' shuur-e-sher-o-suKHan
tumhaara nam bhi shamil hua suKHnawar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.