wo aaj mujhse jab mili to dhund chhaT gai
vo aaj mujh se jab milī to dhund chhaT ga.ī
magar na jaane kyā huā zamīñ hī phaT ga.ī
vo lamha ek chāñd thā mahaktī raat kā
vo chāñd bujh sakā na thā ki raat kaT ga.ī
bayāz-e-dard jab khulī to dil hañsā magar
guzishta ahd kī havā varaq ulaT ga.ī
hamārā aisā daur bhī rahā ki har galī
jidhar se ham guzar ga.e simaT simaT ga.ī
tamām ḳhushk jism sabz sabz ho gayā
vo ek pyāsī bel mujh se jab lipaT ga.ī
ḳhayāl us kā aayā to ḳhizāñ kī shaam kyā
kabhī kabhī to umr kī nadī palaT ga.ī
wo aaj mujh se jab mili to dhund chhaT gai
magar na jaane kya hua zamin hi phaT gai
wo lamha ek chand tha mahakti raat ka
wo chand bujh saka na tha ki raat kaT gai
bayaz-e-dard jab khuli to dil hansa magar
guzishta ahd ki hawa waraq ulaT gai
hamara aisa daur bhi raha ki har gali
jidhar se hum guzar gae simaT simaT gai
tamam KHushk jism sabz sabz ho gaya
wo ek pyasi bel mujh se jab lipaT gai
KHayal us ka aaya to KHizan ki sham kya
kabhi kabhi to umr ki nadi palaT gai
- Book : Hukm Nama (Pg. 26)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.