wo aalam bhi ajab ek aalam-e-majbur hota hai
wo aalam bhi ajab ek aalam-e-majbur hota hai
Ustad Azmat Hussain Khan
MORE BYUstad Azmat Hussain Khan
vo 'ālam bhī 'ajab ik 'ālam-e-majbūr hotā hai
safīna ġharq-e-dariyā aur sāhil duur hotā hai
vahī to jalvā-e-be-tāb barq-e-tūr hotā hai
jo dil meñ jāguzīñ ho kar nazar se duur hotā hai
kiyā kartā hai dā'vā aadmī muḳhtār hone kā
magar ye be-ḳhabar to mutlaqan majbūr hotā hai
anal-haq aur zabāñ ik aadmī kī ai ma'āz-allāh
kahīñ sab ko mayassar mashrab-e-mansūr hotā hai
mohabbat meñ koī us shaḳhs kī bechārgī dekhe
jo ġham meñ muskurāne ke liye majbūr hotā hai
zarā 'maikash' ko maiḳhāne meñ koī chheḌ kar dekhe
magar us vaqt jab vo be-ḳhud-o-maḳhmūr hotā hai
wo 'alam bhi 'ajab ek 'alam-e-majbur hota hai
safina gharq-e-dariya aur sahil dur hota hai
wahi to jalwa-e-be-tab barq-e-tur hota hai
jo dil mein jaguzin ho kar nazar se dur hota hai
kiya karta hai da'wa aadmi muKHtar hone ka
magar ye be-KHabar to mutlaqan majbur hota hai
anal-haq aur zaban ek aadmi ki ai ma'az-allah
kahin sab ko mayassar mashrab-e-mansur hota hai
mohabbat mein koi us shaKHs ki bechaargi dekhe
jo gham mein muskurane ke liye majbur hota hai
zara 'maikash' ko maiKHane mein koi chheD kar dekhe
magar us waqt jab wo be-KHud-o-maKHmur hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.