wo aalam tha ki KHatre se ulajh jaana zaruri tha
vo aalam thā ki ḳhatre se ulajh jaanā zarūrī thā
magar jī ko kisī sūrat to bahlānā zarūrī thā
hamārī be-zabānī varna ik āzār ban jaatī
ye vahshat hī sahī duniyā ko jatlānā zarūrī thā
nipaT kar dushmanoñ se dostoñ se bhī laḌā.ī kī
rahā ik dil to bechāre ko samjhānā zarūrī thā
badan miTTī kā Thahrā aur miTTī ek hotī hai
jahāñ bhī Tik ga.e miTTī se yārāna zarūrī thā
udāsī bām-o-dar kī dil meñ aise TuuT kar barsī
badan par mausamoñ kī naqsh lahrānā zarūrī thā
shamāla haath meñ lab par ġhazal aur raat bhīgī sī
mirā ḳhud apne hī raste se haT jaanā zarūrī thā
amīr-e-shahr to hiltā na thā apne Thikānoñ se
hameñ har haal meñ patthar se Takrānā zarūrī thā
bachā le aa.e apne aap ko ġhaul-e-shagālāñ se
jise kho aa.e the us shaḳhs ko paanā zarūrī thā
chale ho jānib-e-ka.aba jo yuuñ 'shāhīn' bā-vahshat
tumheñ pahle to ḳhud apne hī but Dhānā zarūrī thā
wo aalam tha ki KHatre se ulajh jaana zaruri tha
magar ji ko kisi surat to bahlana zaruri tha
hamari be-zabani warna ek aazar ban jati
ye wahshat hi sahi duniya ko jatlana zaruri tha
nipaT kar dushmanon se doston se bhi laDai ki
raha ek dil to bechaare ko samjhana zaruri tha
badan miTTi ka Thahra aur miTTi ek hoti hai
jahan bhi Tik gae miTTi se yarana zaruri tha
udasi baam-o-dar ki dil mein aise TuT kar barsi
badan par mausamon ki naqsh lahrana zaruri tha
shamala hath mein lab par ghazal aur raat bhigi si
mera KHud apne hi raste se haT jaana zaruri tha
amir-e-shahr to hilta na tha apne Thikanon se
hamein har haal mein patthar se Takrana zaruri tha
bacha le aae apne aap ko ghaul-e-shagalan se
jise kho aae the us shaKHs ko pana zaruri tha
chale ho jaanib-e-kaba jo yun 'shahin' ba-wahshat
tumhein pahle to KHud apne hi but Dhana zaruri tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.