wo aankh de qarib ka saya dikhai de
vo aañkh de qarīb kā saaya dikhā.ī de
āvāz raushnī kī kahīñ to sunā.ī de
jis naam ko jiyā hai baḌe e'timād se
us ko bhī zindagī se kabhī āshnā.ī de
aisā huā to jiine na deñge kisī ko log
insāñ ke haath meñ na mire rab ḳhudā.ī de
maiñ jāntī huuñ paañv rakhe haiñ mire kahāñ
ḳhud se karūñ savāl koī jab baḌā.ī de
kab tak maiñ lamha lamha jiyūñ ḳhud ko bhuul kar
is umr-qaid se mire dil ko rihā.ī de
patthar samajh ke jis ne kiyā dil ko be-asās
us ko bhī āñsuoñ kī namī tak rasā.ī de
aisā na ho ki thak ke yaqīñ chuur chuur ho
itnī tavīl ab na diloñ ko judā.ī de
tārīkiyoñ ko rakh ke kahīñ khanDarāt meñ
jo log pārsā haiñ unheñ pārsā.ī de
'ūshā' jo haath rakhte nahīñ mire aks par
in ā.inoñ ko kuchh to ġham-e-ḳhud-numā.ī de
wo aankh de qarib ka saya dikhai de
aawaz raushni ki kahin to sunai de
jis nam ko jiya hai baDe e'timad se
us ko bhi zindagi se kabhi aashnai de
aisa hua to jine na denge kisi ko log
insan ke hath mein na mere rab KHudai de
main jaanti hun panw rakhe hain mere kahan
KHud se karun sawal koi jab baDai de
kab tak main lamha lamha jiyun KHud ko bhul kar
is umr-qaid se mere dil ko rihai de
patthar samajh ke jis ne kiya dil ko be-asas
us ko bhi aansuon ki nami tak rasai de
aisa na ho ki thak ke yaqin chur chur ho
itni tawil ab na dilon ko judai de
tarikiyon ko rakh ke kahin khanDaraat mein
jo log parsa hain unhen parsai de
'usha' jo hath rakhte nahin mere aks par
in aainon ko kuchh to gham-e-KHud-numai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.