wo aankhen hi nahin jin ka kinara nam nahin hota
vo āñkheñ hī nahīñ jin kā kinārā nam nahīñ hotā
vo dil dil hī nahīñ jis kā muqaddar ġham nahīñ hotā
bahāroñ meñ ujaḌ jaatī haiñ phūloñ se bharī beleñ
jhulas kar raakh hone kā koī mausam nahīñ hotā
bichhaḌne kī sharā.it bhī agar tai mil ke kar lete
tujhe bhī ġham nahīñ hotā mujhe bhī ġham nahīñ hotā
hameñ ab raushnī kī aur hī tafhīm karnī hai
charāġhoñ ko jalāne se añdherā kam nahīñ hotā
ye rāz-e-ishq hai is kī rivāyat hai yahī sāhab
bhaḌak uTThe jo ye sho.ala to phir maddham nahīñ hotā
wo aankhen hi nahin jin ka kinara nam nahin hota
wo dil dil hi nahin jis ka muqaddar gham nahin hota
bahaaron mein ujaD jati hain phulon se bhari belen
jhulas kar rakh hone ka koi mausam nahin hota
bichhaDne ki sharait bhi agar tai mil ke kar lete
tujhe bhi gham nahin hota mujhe bhi gham nahin hota
hamein ab raushni ki aur hi tafhim karni hai
charaghon ko jalane se andhera kam nahin hota
ye raaz-e-ishq hai is ki riwayat hai yahi sahab
bhaDak uTThe jo ye shoala to phir maddham nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.