wo aankhen jin mein koi phul muskuraega
vo āñkheñ jin meñ koī phuul muskurā.egā
kabhī kiran to kabhī taara jagmagā.egā
ga.ī bahār kī chāhat meñ ai havā-e-chaman
ye ek zard sā patta bhī TuuT jā.egā
tirī vafā pe mujhe shak nahīñ magar sach kah
mirī tarah se kisī aur ko bhī chāhegā
use bhulā.ūñ to kaise ki naqsh-e-avval hai
hazār chāhne vaalā nazar meñ aa.egā
vo ek lams kā lamha havā-e-shauq batā
vo ek ḳhushbū kā jhoñkā palaT ke aa.egā
wo aankhen jin mein koi phul muskuraega
kabhi kiran to kabhi tara jagmagaega
gai bahaar ki chahat mein ai hawa-e-chaman
ye ek zard sa patta bhi TuT jaega
teri wafa pe mujhe shak nahin magar sach kah
meri tarah se kisi aur ko bhi chahega
use bhulaun to kaise ki naqsh-e-awwal hai
hazar chahne wala nazar mein aaega
wo ek lams ka lamha hawa-e-shauq bata
wo ek KHushbu ka jhonka palaT ke aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.