wo aansu jo gulha-e-tar mein bhi hain
vo aañsū jo gulhā-e-tar meñ bhī haiñ
sar-e-rahguzar bhī haiñ ghar meñ bhī haiñ
mujhe bhī bahut chāhte haiñ janāb
mire dushmanoñ ke asar meñ bhī haiñ
chhuTī jin ke baa.is kisī kī galī
vo ḳhadshāt is rahguzar meñ bhī haiñ
tumhārī nazar meñ jo kāñTe bane
vahī log merī nazar meñ bhī haiñ
wo aansu jo gulha-e-tar mein bhi hain
sar-e-rahguzar bhi hain ghar mein bhi hain
mujhe bhi bahut chahte hain janab
mere dushmanon ke asar mein bhi hain
chhuTi jin ke bais kisi ki gali
wo KHadshat is rahguzar mein bhi hain
tumhaari nazar mein jo kanTe bane
wahi log meri nazar mein bhi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.